yak-zarra-e-zamin nahin be-kar bagh ka
yan jada bhi fatila hai lale ke dagh ka
be-mai kise hai taqat-e-ashob-e-agahi
khincha hai ijz-e-hausla ne KHat ayagh ka
bulbul ke karobar pe hain KHanda-ha-e-gul
kahte hain jis ko ishq KHalal hai dimagh ka
taza nahin hai nashsha-e-fikr-e-suKHan mujhe
tiryaki-e-qadim hun dud-e-charagh ka
sau bar band-e-ishq se aazad hum hue
par kya karen ki dil hi adu hai faragh ka
be-KHun-e-dil hai chashm mein mauj-e-nigah ghubar
ye mai-kada KHarab hai mai ke suragh ka
bagh-e-shagufta tera bisat-e-nashat-e-dil
abr-e-bahaar KHum-kada kis ke dimagh ka?
Ghazal
Yak-zarra-e-zamin nahin be-kar bagh ka
Mirza Ghalib