اردو हिंदी
Yak lamha sahi umr ka arman hi rah jae | Shaahi Shayari
yak lamha sahi umr ka arman hi rah jae

Ghazal

Yak lamha sahi umr ka arman hi rah jae

Ata Shad

;

yak lamha sahi umr ka arman hi rah jae
is KHalwat-e-yaKH mein koi mehman hi rah jae

qurbat mein shab-e-garm ka mausam hai tera jism
ye KHitta-e-jaan waqf-e-zamistan hi rah jae

mujh shaKH-e-barahana pe saja barf ki kaliyan
patjhaD pe tere husn ka ehsan hi rah jae

farfag ke aashob mein jam jati hain sochen
is karb-e-qayamat mein tera dhyan hi rah jae

tujh bin to sunai na de suraj ki sada bhi
dil dasht-e-hawa-basta hai sunsan hi rah jae

marmar ki silon mein to ghuTe aage ka dam bhi
ye qarya-e-jaanan hai yahan jaan hi rah jae

sochun to shuaon se tarashun tera paikar
chhu lun to wahi barf ka insan hi rah jae

ye sham ye chandi ka barasta hua jharna
koi teri zulfon mein pareshan hi rah jae

surat se wo 'gul-barf' sahi phir bhi 'ata-shad'
tasir mein wo mushk ki pahchan hi rah jae