yahin tha baiTha hua darmiyan kahan gaya main
ki mil raha nahin apna nishan kahan gaya main
na kar raha hai fulan ko fulan KHabar meri
na puchhta hai fulan se fulan kahan gaya main
nishan milta hai hazir mein kab guzishta ka
bata sakenge na aaindagan kahan gaya main
saje hue hain piyaada o asp o fil tamam
bichhi hui hai bisat-e-jahan kahan gaya main
main kab nahin tha akarat magar raha hazir
hua hun ab ke ajab raegan kahan gaya main
jise yaqin tha har sud mein KHasare ka
tha apne-ap mein sharh-e-ziyan kahan gaya main
agar tha pahle hi nam-o-nishan mera mafqud
to ho ke bar-e-digar be-nishan kahan gaya main
na bhejta hai koi nama-e-firaq mujhe
na DhunDhta hai pata KHat-rasan kahan gaya main
jo kar raha tha guzishta ke waqiat durust
suna raha tha ulaT dastan kahan gaya main
liya gaya hun hirasat mein be-amani ki
ki be-aman tha shahr-e-aman kahan gaya main
uTha ke le gaya darogha-e-fana shayad
khula hua hai dar-e-KHak-dan kahan gaya main
bujhi nahin mere aatish-kade ki aag abhi
uTha nahin hai badan se dhuan kahan gaya main
nahin hua hun magar is tarah kabhi ghaeb
raha hamesha nihan dar-ayan kahan gaya main
Ghazal
Yahin tha baiTha hua darmiyan kahan gaya main
Ejaz Gul