yahi nahin ki zaKHm-e-jaan ko chaara-ju mila nahin
ye haal tha ki dil ko ism-e-arzu mila nahin
abhi talak jo KHwab the charagh the gulab the
wo rahguzar koi na thi ki jis pe tu mila nahin
tamam umr ki masafaton ke baad hi khula
kabhi kabhi wo pas tha jo chaar su mila nahin
wo jaise ek KHayal tha jo zindagi pe chha gaya
rifaqaten thin aur yun ki ru-ba-ru mila nahin
tamam aainon mein aks the meri nigah ke
bhare nagar mein ek bhi mujhe adu mila nahin
wirasaton ke hath mein jo ek kitab thi mili
kitab mein jo harf hai sitara-KHu mila nahin
wo kaisi aas thi ada jo ku-ba-ku liye phiri
wo kuchh to tha jo dil ko aaj tak kabhu mila nahin
Ghazal
Yahi nahin ki zaKHm-e-jaan ko chaara-ju mila nahin
Ada Jafri