yahan se ab kahin le chal KHayal-e-yar mujhe
chaman mein ras na aaegi ye bahaar mujhe
teri latif nigahon ki KHas jumbish ne
bana diya teri fitrat ka raazdar mujhe
meri hayat ka anjam aur kuchh hota
jo aap kahte kabhi apna jaan-nisar mujhe
badal diya hai nigahon se ruKH zamane ka
kabhi raha hai zamane pe iKHtiyar mujhe
main jab chala hun ba-in zauq-e-bandagi ai dost
qadam qadam pe mile aastan hazar mujhe
ye hadsat jo hain iztirab ka paigham
ye hadsat hi aaenge sazgar mujhe
'aziz' ahl-e-chaman ki shikayaten be-sud
fareb de gai rangini-e-bahaar mujhe
Ghazal
Yahan se ab kahin le chal KHayal-e-yar mujhe
Aziz Warsi

