yar ko dida-e-KHun-bar se ojhal kar ke
mujh ko haalat ne mara hai mukammal kar ke
jaanib-e-shahr faqiron ki tarah koh-e-giran
phenk deta hai buKHaraat ko baadal kar ke
jal uThen ruh ke ghaw to chhiDak deta hun
chandni mein teri yaadon ki mahak hal kar ke
dil wo majzub mughanni ki jala deta hai
ek hi aah se har KHwab ko jal-thal kar ke
jaane kis lamha-e-wahshi ki talab hai ki falak
dekhna chahe mere shahr ko jangal kar ke
yani tartib-e-karam ka bhi saliqa tha use
us ne patthar bhi uThaya mujhe pagal kar ke
id ka din hai so kamre mein paDa hun 'aslam'
apne darwaze ko bahar se muqaffal kar ke
Ghazal
Yar ko dida-e-KHun-bar se ojhal kar ke
Aslam Kolsarii