اردو हिंदी
Yan zaKHmi-e-nigah ke jine pe harf hai | Shaahi Shayari
yan zaKHmi-e-nigah ke jine pe harf hai

Ghazal

Yan zaKHmi-e-nigah ke jine pe harf hai

Insha Allah Khan u0027Inshau0027

;

yan zaKHmi-e-nigah ke jine pe harf hai
hai dil par apne zaKHm ki sine pe harf hai

zar-KHarchiyan kahan talak apni bayan karen
qarun ki bhi yan to KHazine pe harf hai

milte the chauthe panchwen wo waqt to gaya
ab ye ki chaar panch mahine pe harf hai

kya daKHl wo jo hath se mere piyen sharab
wan kahte kahte baat bhi pine pe harf hai

tufan-e-ashk 'nuh'-alaihissalam se
bola ki aap ke bhi safine pe harf hai

na-chiz aap jaante hain is qadar mujhe
ulfat to jawe bhaD mein kine pe harf hai

naseh jigar ke zaKHm ko jarrah kya siye
yan sozan-e-masih ke sine pe harf hai

yan har bun-e-masam mein KHunaba hai rawan
nikle to KHun hi nikle pasine pe harf hai

'insha' ki mohr paDhiye bhala aashna hua
kandida koi is ke nagine pe harf hai

ab dhyan kar ke dekhiye kya hai gaTha hua
is ka har ek apne qarine pe harf hai