yan kise gham hai jo girya ne asar chhoD diya
hum ne to shaghl hi ai dida-e-tar chhoD diya
dil-e-betab ka kuchh dhyan na aaya us dam
hae kyun hum ne ise waqt-e-sahar chhoD diya
kya satae nahin jate hain wa-lekin chup hain
shikwa karna tera ai rashk-e-qamar chhoD diya
dam-e-ruKHsat kabhi kuchh dil ki tamanna na kahi
daman-e-yar udhar pakDa idhar chhoD diya
dil ki ulfat na sahi pyar ki baaten na sahi
dekhna bhi to idhar ek nazar chhoD diya
ghair ke dhoke mein KHat le ke mera qasid se
paDhne ko paDh to liya nam magar chhoD diya
ghair se wada o iqrar hue kya kya kuchh
mere KHush karne ko ek fiqra udhar chhoD diya
main na kahta tha ki bahkaenge tum ko dushman
tum ne kis waste aana mere ghar chhoD diya
munh se jo kahte hain wo kar ke dikha denge tumhein
be-qarari ne hamein chain pe gar chhoD diya
hur bhi samne ab aae to kab dekhen 'nizam'
barsen guzren hamein wo shauq-e-nazar chhoD diya
Ghazal
Yan kise gham hai jo girya ne asar chhoD diya
Nizam Rampuri