yaadon ka shahr-e-dil mein charaghan nahin raha
kya koi gham hi shoala-ba-daman nahin raha
ab e'tiraf-e-ahd-e-wafa kar rahe hain wo
jab eatibar-e-umr-e-gurezan nahin raha
nikle kuchh aur aabla-pai ki ab sabil
sahra mein koi KHar-e-mughilan nahin raha
baKHiya-gari-e-dil ke tasawwur mein gum hue
goya KHayal-e-jumbish-e-mizhgan nahin raha
ye soch kar ki KHugar-e-gham ho na jaun main
wo sargiran hua sitam arzan nahin raha
aazar-e-hijr apni jagah mustaqil magar
dil mujh se tere qurb ka KHwahan nahin raha
yaad-e-KHuda hi kaba-e-dil mein basaiye
ab ek but bhi dushman-e-iman nahin raha
imkan-e-wasl-e-yar to 'aKHgar' kabhi na tha
aazar-e-hijr-e-yar ka arman nahin raha
Ghazal
Yaadon ka shahr-e-dil mein charaghan nahin raha
Haneef akhgar

