yaadon ka ajib silsila hai
soya hua dard jag uTha hai
miT bhi chuke naqsh-e-pa magar dil
mahki hui chap sun raha hai
jalti hui manzilon ka rahi
ab apna hi saya DhunDhta hai
diwaren khaDi hui hain lekin
andar se makan gir raha hai
puchhe hai chaTak ke ghuncha-e-zaKHm
ai ajnabi tera nam kya hai
sochon ke athah paniyon mein
dil barf ka phul ban gaya hai
kis shola-badan ki yaad aai
daman-e-KHayal jal uTha hai
taKHliq mein KHud chhupa hua hai
fankar bhi fitratan KHuda hai
murjha ke har ek zard patta
aaweza-e-gosh ban gaya hai
socha hai ye main ne pi ke aksar
nashshe mein ye raushni si kya hai
shaKHon pe pujaranen saji hain
har phul chaman ka dewta hai
sahra-e-wafa mein mere fan ki
KHushbu ka charagh jal raha hai
phir paenge KHak se numu hum
'farigh' ye usul-e-irtiqa hai
izhaar ka jis ko hausla hai
wo apni sadi ka dewta hai
mansur se kam nahin hai wo bhi
jo apni zaban se bolta hai
wo peD hai zindagi ki azmat
jo tund hawa se laD raha hai
qatil ko duaen do ki 'farigh'
har zaKHm-e-wafa ghazal-sara hai
Ghazal
Yaadon ka ajib silsila hai
Farigh Bukhari