yaadash-ba-KHair hai wahi chehra KHayal mein
sau jannaten jawan hain goya KHayal mein
kis shan se sharik teri anjuman mein hain
baiThe hon jaise hum kahin tanha KHayal mein
guzra hai ishq hi mein ye aalam bhi muddaton
thi sham zehn mein na sawera KHayal mein
dekha tha KHwab mein unhen nadim to kya kahen
kyun ab tak aa raha hai pasina KHayal mein
allah re ye maqam tere tishna-kaam ka
sukhe paDe hain sare hi dariya KHayal mein
jugnu se yak-ba-yak jo faza mein chamak uThe
ye kaun tha abhi abhi kya tha KHayal mein
ai 'dil' ajab wo shahr-e-sitam tha ki aaj tak
hai koi adh-khula sa daricha KHayal mein
Ghazal
Yaadash-ba-KHair hai wahi chehra KHayal mein
Dil Ayubi

