yaad to aae kai chehre har ek gam ke baad
koi bhi nam kahan aaya tere nam ke baad
dasht-o-dariya mein kabhi gulshan-o-sahra mein kabhi
main raha mahw-e-safar ek tere paigham ke baad
gamzan rah-e-junun par hain to phir sochna kya
kisi anjam se pahle kisi anjam ke baad
dil ka har kaam faqat us ki nazar karti hai
nam aata hai magar mera har ilzam ke baad
meri be-tabi-e-dil mera muqaddar Thahri
shab-e-alam se pahle shab-e-alam ke baad
kaam leta hai mujhi se wo musibat mein sada
bhul jata hai magar mujh ko mere kaam ke baad
barha us ne mera nam miTaya 'anjum'
ro paDa phir wo har ek bar isi kaam ke baad

Ghazal
Yaad to aae kai chehre har ek gam ke baad
Mushtaq Anjum