yaad phir aai teri mausam salona ho gaya
shaghl sa aankhon ka bas daman bhigona ho gaya
ab kisi se kya kahen hum kis liye barbaad hain
ab kisi ki kyun sunen jo kuchh tha hona ho gaya
git babul ke sunane teri sakhiyan aa gain
main tere bachpan ka ek TuTa khilauna ho gaya
meri palkon par mere KHwabon ki kirchen rah gain
nind ghayal ho gai aankhon mein sona ho gaya
phir kisi ki yaad kyun aati hai yarab KHair ho
main to aansu ponchh kar KHush tha ki rona ho gaya
Ghazal
Yaad phir aai teri mausam salona ho gaya
Mushaf Iqbal Tausifi

