yaad kya kya log dasht-e-be-karan mein aae the
rang lekin kab ye chashm-e-KHun-fishan mein aae the
kis tamanna se tumhein dekha tha kis chahat se hum
raqs karte halqa-e-waraftagan mein aae the
suraten kya kya dil-e-aina-gar mein bas gain
hum se be-surat bhi to bazm-e-jahan mein aae the
sadgi se hum ne samjha tha hamara zikr hai
tazkire kuchh aur hi un ke bayan mein aae the
har nai mushkil pe hum socha kiye hain der tak
log pahle bhi to kuchh shahr-e-butan mein aae the
ye gul-e-tar ki si KHushbu kis taraf se aa gai
hum bagule the bhala kab gulistan mein aae the
kyun hamare sans bhi hote hain logon par giran
hum bhi to ek umr le kar is jahan mein aae the
Ghazal
Yaad kya kya log dasht-e-be-karan mein aae the
Ahmad Hamdani