yaad ka phir koi darwaza khula aaKHir-e-shab
dil mein bikhri koi KHushbu-e-qaba aaKHir-e-shab
subh phuTi to wo pahlu se uTha aaKHir-e-shab
wo jo ek umr se aaya na gaya aaKHir-e-shab
chand se mand sitaron ne kaha aaKHir-e-shab
kaun karta hai wafa ahd-e-wafa aaKHir-e-shab
lams-e-jaanana liye masti-e-paimana liye
hamd-e-bari ko uThe dast-e-dua aaKHir-e-shab
ghar jo viran tha sar-e-sham wo kaise kaise
furqat-e-yar ne aabaad kiya aaKHir-e-shab
jis ada se koi aaya tha kabhi awwal-e-shab
usi andaz se chal baad-e-saba aaKHir-e-shab
Ghazal
Yaad ka phir koi darwaza khula aaKHir-e-shab
Faiz Ahmad Faiz