اردو हिंदी
Yaad-e-KHuda kar bande yun nahaq umr kun khona kya | Shaahi Shayari
yaad-e-KHuda kar bande yun nahaq umr kun khona kya

Ghazal

Yaad-e-KHuda kar bande yun nahaq umr kun khona kya

Abroo Shah Mubarak

;

yaad-e-KHuda kar bande yun nahaq umr kun khona kya
haq chaha sui kuchh hoga un logon sin hona kya

koi shah kui gada kahawe jaisa jis ka bana nasib
jo kuchh hua tisi pe KHush rah nan in logon sen hona kya

sair safar kar dekh tamasha qudarat ka sab aalam ka
ghar kun jhonk bhaD ke bhitar aashiq ho kar kona kya

jaan mamola jagat piyara jin dekha so ThiThak raha
chanchal nipaT achile nainan tan ke aage mirig chhuna kya

dagh ke haikal anjhuwan ki mala zinat-e-ishq ki yahi nishani
phiren mast jo birah ke tan kun moti lal pirona kya

aaj 'abru' dil kun hamare shauq ne us ke magan kiya hai
jag anaDi dekh tamasha ishq laga tab sona kya