اردو हिंदी
Yaad aaenge zamane ko misalon ke liye | Shaahi Shayari
yaad aaenge zamane ko misalon ke liye

Ghazal

Yaad aaenge zamane ko misalon ke liye

Farigh Bukhari

;

yaad aaenge zamane ko misalon ke liye
jaise bosida kitaben hon hawalon ke liye

dekh yun waqt ki dahliz se Takra ke na gir
raste band nahin sochne walon ke liye

aao tamir karen apni wafa ka mabad
hum na masjid ke liye hain na shiwalon ke liye

salha-sal aqidat se khula rahta hai
munfarid rahon ka aaghosh jiyalon ke liye

raat ka karb hai gulbang-e-sahar ka KHaliq
pyar ka git hai ye dard ujalon ke liye

shab-e-furqat mein sulagti hui yaadon ke siwa
aur kya rakkha hai hum chahne walon ke liye