wo zindagi hai us ko KHafa kya kare koi
pani ko sahilon se juda kya kare koi
barish ka pahla qatra hi basti Dubo gaya
ab apni jaan ka qarz ada kya kare koi
jab gard uD rahi ho harim-e-KHayal mein
aaina dekhne ke siwa kya gire koi
wo kya gae ki shahr hi viran ho gaya
ab jangalon mein rah ke sada kya kare koi
apne badan ki aag se shamen jalaiye
kachche gharon mein jashn-e-hina kya kare koi
zahrab-e-zindagi to ragon mein utar gaya
ab ai gham-e-firaq bata kya kare koi
miTTi se khelta hua rizq-e-hawa hua
'aKHtar' ab aur sharh-e-wafa kya kare koi
Ghazal
Wo zindagi hai usko KHafa kya kare koi
Akhtar Hoshiyarpuri