wo yaad kar bhi raha ho to faeda kya hai
ye dil ujaD paDa hai ise mila kya hai
bahut dinon se ye dil yunhi ro raha hai aur
bata raha hi nahin hai ise hua kya hai
zara si der utarne de apni aankhon mein
zara ye dekhne to de ye rasta kya hai
ek aur bhuk thi jis ne mujhe faqir kiya
wagarna pas tere husn ke siwa kya hai
main apne-ap se kam bhi hun aur ziyaada bhi
wo jaanta bhi hai mujh ko to jaanta kya hai
ye dard-e-KHwab hai is ko bhi chakh ke dekh hi lun
pata kahin to chale KHwab mein maza kya hai
Ghazal
Wo yaad kar bhi raha ho to faeda kya hai
Syed Kashif Raza