wo tum tak kaise aata
jism se bhaari saya tha
sare kamre KHali the
saDkon par bhi koi na tha
pichhe pichhe kyun aae
aage bhi to rasta tha
khiDki hi mein ThiThur gai
kali aur chaukor hawa
diwaron par aaine
aainon mein sabz KHala
baiThi thi wo kursi par
danton mein ungli ko daba
boTi boTi jalti thi
us ka badan angara tha
te ke upar do nuqte
be ke niche ek nuqta
chae mein us ke pistan the
mera badan pani mein tha
tanhai ki ranon mein
subh talak main qaid raha
'adil' ab shadi kar lo
sattaiswan KHatm hua
Ghazal
Wo tum tak kaise aata
Adil Mansuri