wo tanha mere hi darpai nahin hai
kisi se KHush ho ye bhi tai nahin hai
yahan ki masnaden sab ke liye hain
ye mera ghar hai qasr-e-kai nahin hai
abhi ghuncha abhi gul aur abhi tuKHm
to kyun kahiye ki hasti hai nahin hai
taghayyur irtiqa dastur-e-fitrat
na badle jo wo koi shai nahin hai
magas ki KHak-e-pa nutfa enab ka
kashid-e-gul magas ki qai nahin hai
wo kaisi shaKHsiyat jis mein na ho ruh
wo kaisa shisha jis mein mai nahin hai
wo kya jharna na jis se rag phuTe
wo kaisa naghma jis mein lai nahin hai
wo phika waz jis mein karb madum
wo jhuTa saz jis mein nai nahin hai
wo kaisi bazm jis mein sab hon gunge
wo jannat kya jahan har shai nahin hai
wo kya 'wamiq' jo nichla baiTh jae
wo kaisa fasla jo tai nahin hai

Ghazal
Wo tanha mere hi darpai nahin hai
Wamiq Jaunpuri