wo tamam rang ana ke the wo umang sari lahu se thi
wo jo rabt-zabt gulon se tha jo dua-salam subu se thi
koi aur baat hi kufr thi koi aur zikr hi shirk tha
jo kisi se wada-e-did tha to tamam shab hi wazu se thi
na kisi ne zaKHm ki dad di na kisi ne chaak-e-rafu kiya
mile hum ko jitne bhi baKHiya-gar unhen fikr apne rafu se thi
tere mutribon ko KHuda rakhe magar ab kahan teri bazm mein
koi sur jo mere suKHan mein tha koi lai jo mere lahu se thi
sar-e-karzar khaDe ho 'shauq' to yun hi sina super raho
ki wo log kaun se bach gae jinhen ehtiyat adu se thi
Ghazal
Wo tamam rang ana ke the wo umang sari lahu se thi
Razi Akhtar Shauq

