wo so raha hai KHuda dur aasmanon mein
farishte loriyan gate hain us ke kanon mein
zamin pe girte hain kaT kaT ke sar farishton ke
ajib zalzala aaya hai aasmanon mein
saDak pe aa gae sab log bilbilate hue
na jaane kaun makin aa gae makanon mein
phaTe purane badan se kise KHarid sakun
saje hain kanch ke paikar baDi dukanon mein
wahin pighal ke na rah jae mera sang-e-sada
ki zard zahr ka parda hai is ke kanon mein
nikal ke zard charaghon se zahr ka aaseb
pahunch gaya hai mere ghar meri dukanon mein
Ghazal
Wo so raha hai KHuda dur aasmanon mein
Abdur Rahim Nashtar