wo sar-e-baam kab nahin aata
jab main hota hun tab nahin aata
bahr-e-taskin wo kab nahin aata
e'tibar aah ab nahin aata
chup hai shikwon ki ek band kitab
us se kahne ka Dhab nahin aata
un ke aage bhi dil ko chain nahin
be-adab ko adab nahin aata
zaKHm se kam nahin hai us ki hansi
jis ko rona bhi ab nahin aata
munh ko aa jata hai jigar gham se
aur gila ta-ba-lab nahin aata
bholi baaton pe teri dil ko yaqin
pahle aata tha ab nahin aata
dukh wo deta hai us pe hai ye haal
lene jata hun jab nahin aata
'arzu' be-asar mohabbat chhoD
kyun kare kaam jab nahin aata
Ghazal
Wo sar-e-baam kab nahin aata
Arzoo Lakhnavi