wo sabr de ki na de jis ne be-qarar kiya 
bas ab tumhin pe chalo hum ne inhisar kiya 
tumhaara zikr nahin hai tumhaara nam nahin 
kiya nasib ka shikwa hazar bar kiya 
subut hai ye mohabbat ki sada-lauhi ka 
jab us ne wada kiya hum ne e'tibar kiya 
maal hum ne jo dekha sukun o jumbish ka 
to kuchh samajh ke taDapna hi iKHtiyar kiya 
mere KHuda ne mere sab gunah baKHsh diye 
kisi ka raat ko yun main ne intizar kiya
        Ghazal
Wo sabr de ki na de jis ne be-qarar kiya
Josh Malihabadi

