wo rula kar hans na paya der tak 
jab main ro kar muskuraya der tak 
bhulna chaha kabhi us ko agar 
aur bhi wo yaad aaya der tak 
KHud-ba-KHud be-saKHta main hans paDa 
us ne is darja rulaya der tak 
bhuke bachchon ki tasalli ke liye 
man ne phir pani pakaya der tak 
gungunata ja raha tha ek faqir 
dhup rahti hai na saya der tak 
kal andheri raat mein meri tarah 
ek jugnu jagmagaya der tak
        Ghazal
Wo rula kar hans na paya der tak
Nawaz Deobandi

