اردو हिंदी
Wo ratjaga tha ki afsun-e-KHwab tari tha | Shaahi Shayari
wo ratjaga tha ki afsun-e-KHwab tari tha

Ghazal

Wo ratjaga tha ki afsun-e-KHwab tari tha

Akhtar Hoshiyarpuri

;

wo ratjaga tha ki afsun-e-KHwab tari tha
diye ki lau pe sitaron ka raqs jari tha

main us ko dekhta tha dam-ba-KHud tha hairan tha
kise KHabar wo kaDa waqt kitna bhaari tha

guzarte waqt ne kya kya na chaara sazi ki
wagarna zaKHm jo us ne diya tha kari tha

dayar-e-jaan mein baDi der mein ye baat khuli
mera wajud hi KHud nang dost-dari tha

kise bataun main apni nawa ki ramz 'aKHtar'
ki harf jo nahin utre main un ka qari tha