wo rah-o-rasm na wo rabt-e-nihan baqi hai
phir bhi is dil ko mohabbat ka guman baqi hai
ab bhi logon ki zaban par hain kai afsane
apna qissa ba-hadis-e-digran baqi hai
ab nahin mujh ko mayassar tera daman phir bhi
joshish-e-dida-e-KHun-nab-fashan baqi hai
gul-o-nasrin ke tasawwur se meri sanson mein
nikhat-e-zulf-e-masiha-nafasan baqi hai
muddaten guzrin teri did ko par aankhon mein
aaj bhi raqs-e-bahaaran ka saman baqi hai
tere andaz-e-sitam tere taghaful ke nisar
dil mein ek hasrat-e-benam-o-nishan baqi hai
aah ye jada-e-pur-KHam ye bhayanak jangal
dil-e-darmanda-o-umr-e-guzran baqi hai
dil-e-muztar ko ab ummid-e-mulaqat nahin
yaad teri magar ai dushman-e-jaan baqi hai
Ghazal
Wo rah-o-rasm na wo rabt-e-nihan baqi hai
Ram Krishn Muztar

