اردو हिंदी
Wo nikhat-e-gesu phir ai ham-nafasan aai | Shaahi Shayari
wo nikhat-e-gesu phir ai ham-nafasan aai

Ghazal

Wo nikhat-e-gesu phir ai ham-nafasan aai

Ravish Siddiqi

;

wo nikhat-e-gesu phir ai ham-nafasan aai
ab dam mein dam aaya hai ab jaan mein jaan aai

har tanz pe rindon ne sar apna jhukaya hai
us par bhi na waiz ko tahzib-e-mughan aai

jab bhi ye KHayal aaya kya dair hai kya kaba
naqus-e-barhaman se aawaz-e-azan aai

us shoKH ki baaton ko dushwar hai dohrana
jab baad-e-saba aai aashufta-bayan aai

urdu jise kahte hain tahzib ka chashma hai
wo shaKHs mohazzab hai jis ko ye zaban aai

ye KHanda-e-gul kya hai hum ne to ye dekha hai
kaliyon ke tabassum mein chhup chhup ke fughan aai

aabaad KHayal us ka shadan rahe yaad us ki
ek dushman-e-dil aaya ek aafat-e-jaan aai

ashaar-e-'rawish' sun kar tausif o sataish ko
'sadi' ka bayan aaya 'hafiz' ki zaban aai