wo naghma bulbul-e-rangin-nawa ek bar ho jae
kali ki aankh khul jae chaman bedar ho jae
nazar wo hai jo is kaun o makan se par ho jae
magar jab ru-e-taban par paDe bekar ho jae
tabassum ki ada se zindagi bedar ho jae
nazar se chheD de rag rag meri hushyar ho jae
tajalli chehra-e-zeba ki ho kuchh jam-e-rangin ki
zamin se aasman tak aalam-e-anwar ho jae
tum us kafir ka zauq-e-bandagi ab puchhte kya ho
jise taq-e-haram bhi abru-e-KHamdar ho jae
sahar laegi kya paigham-e-bedari shabistan mein
naqab-e-ruKH ulaT do KHud sahar bedar ho jae
ye iqrar-e-KHudi hai dawa-e-iman-o-din kaisa
tera iqrar jab hai KHud se bhi inkar ho jae
nazar is husn par Thahre to aaKHir kis tarah Thahre
kabhi KHud phul ban jae kabhi ruKHsar ho jae
kuchh aisa dekh kar chup hun bahaar-e-alam-e-imkan
koi ek jam pi kar jis tarah sarshaar ho jae
chala jata hun hansta khelta mauj-e-hawadis se
agar aasaniyan hon zindagi dushwar ho jae
Ghazal
Wo naghma bulbul-e-rangin-nawa ek bar ho jae
Asghar Gondvi