wo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi 
ajib shaKHs hai apna bhi hai paraya bhi 
ye intizar sahar ka tha ya tumhaara tha 
diya jalaya bhi main ne diya bujhaya bhi 
main chahta hun Thahar jae chashm-e-dariya mein 
larazta aks tumhaara bhi mera saya bhi 
bahut mahin tha parda larazti aankhon ka 
mujhe dikhaya bhi tu ne mujhe chhupaya bhi 
bayaz bhar bhi gai aur phir bhi sada hai 
tumhaare nam ko likkha bhi aur miTaya bhi
        Ghazal
Wo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi
Aanis Moin

