wo log mere bahut pyar karne wale the
guzar gae hain jo mausam guzarne wale the
nai ruton mein dukhon ke bhi silsile hain nae
wo zaKHm taza hue hain jo bharne wale the
ye kis maqam pe sujhi tujhe bichhaDne ki
ki ab to ja ke kahin din sanwarne wale the
hazar mujh se wo paiman-e-wasl karta raha
par us ke taur-tariqe mukarne wale the
tumhein to faKHr tha shiraaza-bandi-e-jaan par
hamara kya hai ki hum to bikharne wale the
tamam raat nahaya tha shahr barish mein
wo rang utar hi gae jo utarne wale the
us ek chhoTe se qasbe pe rail Thahri nahin
wahan bhi chand musafir utarne wale the
Ghazal
Wo log mere bahut pyar karne wale the
Jamal Ehsani