wo lab ki jaise saghar-e-sahba dikhai de
jumbish jo ho to jam chhalakta dikhai de
dariya mein yun to hote hain qatre hi qatre sab
qatra wahi hai jis mein ki dariya dikhai de
kyun aaina kahen use patthar na kyun kahen
jis aaine mein aks na us ka dikhai de
us tishna-lab ke nind na TuTe dua karo
jis tishna-lab ko KHwab mein dariya dikhai de
kaisi ajib shart hai didar ke liye
aankhen jo band hon to wo jalwa dikhai de
kya husn hai jamal hai kya rang-rup hai
wo bhiD mein bhi jae to tanha dikhai de
Ghazal
Wo lab ki jaise saghar-e-sahba dikhai de
Krishn Bihari Noor