wo koi aur na tha chand KHushk patte the
shajar se TuT ke jo fasl-e-gul pe roe the
abhi abhi tumhein socha to kuchh na yaad aaya
abhi abhi to hum ek dusre se bichhDe the
tumhaare baad chaman par jab ek nazar Dali
kali kali mein KHizan ke charagh jalte the
tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur baat ki hum aadmi to achchhe the
shab-e-KHamosh ko tanhai ne zaban de di
pahaD gunjte the dasht sansanate the
wo ek bar mere jin ko tha hayat se pyar
jo zindagi se gurezan the roz marte the
nae KHayal ab aate hain Dhal ke aahan mein
hamare dil mein kabhi khet lahlahate the
ye irtiqa ka chalan hai ki har zamane mein
purane log nae aadmi se Darte the
'nadim' jo bhi mulaqat thi adhuri thi
ki ek chehre ke pichhe hazar chehre the
Ghazal
Wo koi aur na tha chand KHushk patte the
Ahmad Nadeem Qasmi