اردو हिंदी
Wo kaun hai jo pas-e-chashm-e-tar nahin aata | Shaahi Shayari
wo kaun hai jo pas-e-chashm-e-tar nahin aata

Ghazal

Wo kaun hai jo pas-e-chashm-e-tar nahin aata

Abbas Tabish

;

wo kaun hai jo pas-e-chashm-e-tar nahin aata
samajh to aata hai lekin nazar nahin aata

agar ye tum ho to sabit karo ki ye tum ho
gaya hua to koi lauT kar nahin aata

ye dil bhi kaisa shajar hai ki jis ki shaKHon par
parinde aate hain lekin samar nahin aata

ye jama KHarch zabani hai us ke bare mein
koi bhi shaKHs use dekh kar nahin aata

hamari KHak pe andhi hawa ka pahra hai
use KHabar hai yahan kuza-gar nahin aata

ye baat sach hai ki is ko bhula diya main ne
magar yaqin mujhe is baat par nahin aata

nazar jamae rakhunga main chand par 'tabish'
ki jab talak ye parinda utar nahin aata