wo kahte hain aao meri anjuman mein magar main wahan ab nahin jaane wala
ki aksar bulaya bula kar biThaya biTha kar uThaya uTha kar nikala
nashat-o-alam ke safed-o-siyah ne hamari nigahon ko hairat mein Dala
idhar raushni hai udhar tirgi hai kahin hai andhera kahin hai ujala
mera dard puchha mera haal dekha mere dil ka arman tum ne nikala
KHuda aur bhi de zyaada maraatib siwa aur is se bhi ho bol-baala
paDi niw aapas mein go dosti ki magar dosti kis tarah nibh sakegi
use hai nazakat mujhe hai naqahat na wo aane wala na main jaane wala
shiwale ki jaanib qadam kyun baDhaun nazar kis liye su-e-masjid uThaun
idhar kah raha hai udhar sun raha hai koi kahne wala koi sunne wala
hamin par huin kya hazaron jafaen hazaron par aain hazaron balaen
zamane mein koi sambhalne na paya kisi shoKH ne hosh jab se sambhaala
wo aae the pahlu mein behosh tha main hui hogi dil par bahut kuchh nawazish
magar kya KHabar mujh ko allah jaane tamanna nikali ki kanTa nikala
hazaron bala-nosh idhar bhi udhar bhi mili itni fursat kahan mai-kade mein
raha kaam pine pilane se sab ko na dhoi surahi na saghar khangala
mohabbat ke jogi sitam ke birogi wafa ke bhikari jafa ke pujari
jahan dekh pate hain jalwa buton ka bichhate hain apna wahin mirg-chhaala
chura le gaya koi dil bhi jigar bhi uDa le gaya koi sabr-o-sukun bhi
yaqin hai tamanna nikalte nikalte nikal jaega aashiqon ka diwala
watan se nikal kar akele chale the magar KHush-yaqini ke qurban jaen
mila dasht-e-ghurbat mein ek ek qadam par hamein ek na ek jaan-pahchan wala
fughan ki bhi imdad hasil karun main mohabbat ko bhi kuchh tawajjoh dilaun
bharam jazb-e-dil ka nikalne na pae nikal aae parde se wo parde wala
ghazab Dha gain sidhi-sadi adaen sitam kar gain tirchhi banki nigahen
yahi shor uTTha jidhar se wo guzre mujhe mar Dala mujhe mar Dala
idhar tur par ghash mein musa paDe hain udhar hatif-e-ghaib ye kah raha hai
zara kholiye aap aankhen to apni qarib aa gaya dekhiye dur wala
ye matlab tha arman us ke na niklen jo taDpen to kuchh aur pechidgi ho
mere KHana-e-dil mein ranj-o-alam ne tana har taraf KHub makDi ka jala
tumhaara sana-KHwan tumhaara dua-go tumhaara fidai tumhaara salami
ye kya kah diya us ne waqif nahin hum wahi han wahi 'nuh' tufan wala
Ghazal
Wo kahte hain aao meri anjuman mein magar main wahan ab nahin jaane wala
Nooh Narvi

