wo jo nahin hain bazm mein bazm ki shan bhi nahin
phul hain dilkashi nahin chand hai chandni nahin
DhunDa na ho jahan unhen aisi jagah koi nahin
pai kuchh un ki jab KHabar apni KHabar mili nahin
aankh mein ho parakh to dekh husn se pur hai kul jahan
teri nazar ka hai qusur jalwon ki kuchh kami nahin
ishq mein shikwa kufr hai aur har iltija haram
toD de kasa-e-murad ishq gadagari nahin
josh-e-junun-e-ishq ne kaam mera bana diya
ahl-e-KHirad karen muaf hajat-e-agahi nahin
uf ye nashili ankhDiyan hae ye masti-e-shabab
mana ki tum ne pi nahin kaun kahega pi nahin
hijr ki shab guzar gai phir bhi 'asar' ye haal hai
samne aaftab hai aur kahin raushni nahin
Ghazal
Wo jo nahin hain bazm mein bazm ki shan bhi nahin
Asar Rampuri