اردو हिंदी
Wo jo dard tha tere ishq ka wahi harf harf-e-suKHan mein hai | Shaahi Shayari
wo jo dard tha tere ishq ka wahi harf harf-e-suKHan mein hai

Ghazal

Wo jo dard tha tere ishq ka wahi harf harf-e-suKHan mein hai

Hasan Nayeem

;

wo jo dard tha tere ishq ka wahi harf harf-e-suKHan mein hai
wahi qatra qatra lahu bana wahi reza reza badan mein hai

wo nasim jaane kahan gai wo gulab jaane kidhar khile
koi aag pichhli bahaar ki mere qalb mein na chaman mein hai

yahi waqt sail-e-rawan liye meri kashtiyon ko Dubo gaya
koi lahar aab-e-hayat ki abhi gang mein na jaman mein hai

dam-e-subh aaj hai dopahar na wo chahchahe na wo zamzame
wo parinde uD ke kahan gae koi shor ganw na ban mein hai

jo sitara qibla-e-rah tha wo sharar ban ke bujha 'naim'
ye zamin chadar-e-KHak hai mera chand jab se gahan mein hai