اردو हिंदी
Wo jo dagh-e-ishq tha KHush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha | Shaahi Shayari
wo jo dagh-e-ishq tha KHush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha

Ghazal

Wo jo dagh-e-ishq tha KHush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha

Javed Vashisht

;

wo jo dagh-e-ishq tha KHush-numa jo amanat-e-dil-e-zar tha
sar-e-bazm tha to charagh tha sar-e-rah tha to ghubar tha

use main hi jaanun hun doston kisu waqt apna bhi yar tha
kabhu mom tha kabhu sang tha kabhu phul tha kabhu KHar tha

teri yaad hai ki bujhi bujhi tera zikr hai ki ruka ruka
teri yaad se to sukun tha tere zikr se to qarar tha

ye to waqt waqt ki baat hai hamein un se koi gila nahin
wo hon aaj hum se KHafa KHafa kabhu hum se un ko bhi pyar tha

wo nagar to kab ka ujaD gaya hum usi nagar se to aae hain
kahin maqbara tha KHulus ka to kahin wafa ka mazar tha

jise shauq tha teri did ka jise pyas thi tere pyar ki
jo teri gali mein muqim tha wahi ajnabi sar-e-dar tha

tere dil se mera KHulus-e-dil na jhalak saka to main kya karun
mere aks ki to KHata na thi tere aaine pe ghubar tha