wo hamein jis qadar aazmate rahe
apni hi mushkilon ko baDhate rahe
wo akele mein bhi jo lajate rahe
ho na ho un ko hum yaad aate rahe
yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
aankhen sukhi hui naddiyan ban gain
aur tufan ba-dastur aate rahe
pyar se un ka inkar bar-haq magar
lab ye kyun der tak thartharaate rahe
thin kamanen to hathon mein aghyar ke
tir apnon ki jaanib se aate rahe
kar liya sab ne hum se kinara magar
ek naseh gharib aate jate rahe
mai-kade se nikal kar janab-e-'KHumar'
kaba o dair mein KHak uDate rahe
Ghazal
Wo hamein jis qadar aazmate rahe
Khumar Barabankavi