wo ek rau jo lab-e-nukta-chin mein hoti hai
suKHan wahi dil-e-andoh-gin mein hoti hai
koi wo shak ka andhera ki jis ki jast ke baad
chamak si silsila-ha-e-yaqin mein hoti hai
bahaar chaak-e-gareban mein Thahr jati hai
junun ki mauj koi aastin mein hoti hai
wo KHak anjum o mahtab ko nasib nahin
jo mauj marg o numu ki zamin mein hoti hai
ghunuda din-e-buzurgan mein ab wo lau na rahi
jo ahd-e-nau ke gham-e-atishin mein hoti hai
ye raat tair-e-hijrat-zada ghanimat hai
tulu-e-subh sawad-e-kamin mein hoti hai
kabhi kabhi to harifana koi aatish-e-sang
farogh pa ke libas-e-nagin mein hoti hai
Ghazal
Wo ek rau jo lab-e-nukta-chin mein hoti hai
Aziz Hamid Madni