wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha 
lahu pahan ke mujhe surKH-ru bhi hona tha 
sunahri hath mein taza lahu ki fasl na di 
ki apne haq ke liye jang-ju bhi hona tha 
bagula ban ke samundar mein KHak uDana thi 
ki lahar lahar mujhe tund-KHu bhi hona tha 
mere hi harf dikhate the meri shakl mujhe 
ye ishtihaar mere ru-ba-ru bhi hona tha 
kashish thi phul si is mein to la-muhaala mujhe 
asir-e-rang giraftar-e-bu bhi hona tha 
saza to milna thi mujh ko barahna lafzon ki 
zaban ke sath labon ko rafu bhi hona tha 
safar ka bojh uThane se peshtar 'sajid' 
mizaj-dan-e-rah-e-justuju bhi hona tha
 
        Ghazal
Wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha
Iqbal Sajid

