اردو हिंदी
Wo dil samo le jo daman mein kaenat ka karb | Shaahi Shayari
wo dil samo le jo daman mein kaenat ka karb

Ghazal

Wo dil samo le jo daman mein kaenat ka karb

Hurmatul Ikaram

;

wo dil samo le jo daman mein kaenat ka karb
uTha saka na KHud apne tasawwuraat ka karb

nikalna KHuld se aadam ka ban gaya kya chiz
ye zindagi hai ki hai ek wardat ka karb

andhere Daste rahe shama jhilmilati rahi
kahin to kah na saken zindagi ki raat ka karb

panah ke liye KHwabon ki god DhunDhti hai
hayat sah na saki apne tajrabaat ka karb

baDa ajib hai KHud se ye marka apna
kahan har ek se uTTha shikast-e-zat ka karb

hai intizar mein ek inqalab aaKHir ke
zamin liye hue kitne taghayyuraat ka karb

ye jit kam hai ki gham ras aa gaya warna
KHushi KHushi koi jhela hai apni mat ka karb

simaT ke ban gaya honTon pe nala-e-sahari
tamam din ki aziyyat tamam raat ka karb

jigar-gudaz the 'hurmat' kuchh aur gham bhi magar
miTa gaya hamein auj-e-taKHaiyyulat ka karb