wo dil-nawaz hai lekin nazar-shanas nahin
mera ilaj mere chaara-gar ke pas nahin
taDap rahe hain zaban par kai sawal magar
mere liye koi shayan-e-iltimas nahin
tere jilau mein bhi dil kanp kanp uThta hai
mere mizaj ko aasudgi bhi ras nahin
kabhi kabhi jo tere qurb mein guzare the
ab un dinon ka tasawwur bhi mere pas nahin
guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil
sahar ki aas to hai zindagi ki aas nahin
mujhe ye Dar hai teri aarzu na miT jae
bahut dinon se tabiat meri udas nahin
Ghazal
Wo dil-nawaz hai lekin nazar-shanas nahin
Nasir Kazmi