اردو हिंदी
Wo dil kahan hai ahl-e-nazar dil kahen jise | Shaahi Shayari
wo dil kahan hai ahl-e-nazar dil kahen jise

Ghazal

Wo dil kahan hai ahl-e-nazar dil kahen jise

Tilok Chand Mahroom

;

wo dil kahan hai ahl-e-nazar dil kahen jise
yani niyaz-e-ishq ke qabil kahen jise

zanjir-e-gham hai KHud meri KHwahish ka silsila
ya zulf-e-KHam-ba-KHam ki salasil kahen jise

milta hai mushkilon se kisi ke huzur ka
wo ek lahza zist ka hasil kahen jise

kashti shikastgan-e-yam-e-iztirab ko
tera hi ek nam hai sahil kahen jise

pati nahin farogh ba-juz soz-o-saz-e-ishq
sham-e-hayat dar-KHur-e-mahfil kahen jise

is dil ko shad rakhne ki KHidmat mili mujhe
gham-ha-e-rozgar ki manzil kahen jise

is daur-e-qadr-dan-e-suKHan mein ye ittifaq
shair wahi hai raunaq-e-mahfil kahen jise

'mahrum' chaak-e-sina-e-har-gul mein hai wo chiz
tasir-e-nala-ha-e-anadil kahen jise