wo dhyan ki rahon mein jahan hum ko milega
bas ek chhalawe sa koi dam ko milega
anjaani zaminon se mujhe dega sada wo
nairang-e-nawa-shauq ki sargam ko milega
main ajnabi ho jaunga KHud apni nazar mein
jis dam wo mere dida-e-pur-nam ko milega
jo naqsh ki arzhang-e-zamana mein nahin hai
us dil ke dhaDakte hue albam ko milega
rut wasl ki aaegi chali jaegi lekin
kuchh rang to yun hijr ke mausam ko milega
ye dil ki hai Thukraya hua sare jahan ka
ghar ek yahi hai jo tere gham ko milega
patthar hai to Thokar mein rahe pa-e-talab ki
dil hai to usi turra-e-pur-KHam ko milega
gar shisha-e-mai hai to ho auron ko mubarak
hai jam-e-jahan-bin to faqat jam ko milega
lahraate rahenge chamanistan mein sharare
KHar o KHas o KHashak hi aalam ko milega
malum hai 'urfi' jo hai qismat mein hamari
sahra hi koi girya-e-shabnam ko milega
Ghazal
Wo dhyan ki rahon mein jahan hum ko milega
Urfi Aafaqi