wo chandni ka badan KHushbuon ka saya hai
bahut aziz hamein hai magar paraya hai
utar bhi aao kabhi aasman ke zine se
tumhein KHuda ne hamare liye banaya hai
kahan se aai ye KHushbu ye ghar ki KHushbu hai
is ajnabi ke andhere mein kaun aaya hai
mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se
KHuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai
use kisi ki mohabbat ka e'tibar nahin
use zamane ne shayad bahut sataya hai
tamam umr mera dil usi dhuen mein ghuTa
wo ek charagh tha main ne use bujhaya hai
Ghazal
Wo chandni ka badan KHushbuon ka saya hai
Bashir Badr