اردو हिंदी
Wo bezar mujhse hua zar main hun | Shaahi Shayari
wo bezar mujhse hua zar main hun

Ghazal

Wo bezar mujhse hua zar main hun

Imam Bakhsh Nasikh

;

wo bezar mujh se hua zar main hun
wo mai-KHwar ghairon mein hai KHwar main hun

nahin ishq se zard zardar main hun
agar hai wo yusuf KHaridar main hun

tamanna hai saqi kabhi bazm-e-mai mein
wo sarshaar ho aur hushyar main hun

hui jama be-dardi-e-dardmandi
dil-azar wo hai sitamgar main hun

wo karta hai baaten main karta hun aahen
guhar-bar wo hai sharar-bar main hun

wahi bolta hai jo main bolta hun
agar wo hai bulbul to minqar main hun

digar-gun hai har aan waz-e-mohabbat
kabhi ghair main hun kabhi yar main hun

kaha hazrat-e-'dard' ne KHub 'nasiKH'
ye zulf-e-butan ka giraftar main hun