اردو हिंदी
Wo baaten ishq kahta tha ki sara ghar mahakta tha | Shaahi Shayari
wo baaten ishq kahta tha ki sara ghar mahakta tha

Ghazal

Wo baaten ishq kahta tha ki sara ghar mahakta tha

Qamar Jameel

;

wo baaten ishq kahta tha ki sara ghar mahakta tha
mera mahbub jaise gul tha aur bulbul chahakta tha

safar mein sham ho jati to dil mein shamen jal uThtin
lahu mein phul khil jate jahan ghuncha chaTakta tha

kabhi main sarw ki surat nazar aata tha yaron ko
kabhi ghunche ki surat apne hi dil mein dhaDakta tha

KHuda jaane main us ke sath rahta tha ki aaina
mere parde mein apne-ap ko hairat se takta tha

KHuda jaane wo kaisa aadmi tha jis ke mathe par
koi bindiya lagata tha to ek jugnu chamakta tha

kabhi rahta tha us ke sath main us ke gareban mein
kabhi furqat mein apne aaine par sar paTakta tha

andheri raat jab sawan mein aati thi to ek bulbul
KHuda jaane kahan se aa ke mere ghar chahakta tha