اردو हिंदी
Wo aise bigDe hue hain kai mahine se | Shaahi Shayari
wo aise bigDe hue hain kai mahine se

Ghazal

Wo aise bigDe hue hain kai mahine se

Nizam Rampuri

;

wo aise bigDe hue hain kai mahine se
ki jaan pe ban gai tang aa gaya main jine se

hue numud jo pistan to sharm kha ke kaha
ye kya bala hai jo uThti hai mere sine se

wo dur khinch ke shab-e-wasl us ka ye kahna
koi udhar hi ko baiTha rahe qarine se

jo bosa dete hain to lab bachate hain lab se
lipaTte bhi hain to sina chura ke sine se

wo sath sona kisi ka wo garm-joshi hae
nami wo jism ki choli wo tar pasine se

KHushi yahi hai ki ek din to gham se chhuTenge
na maut aae to kya hasil aise jine se

wo nichi nichi nigahon se dekhna mujh ko
wo pyar takiye ko karna laga ke sine se

yahi wo rah hai jo dil se dil ko hoti hai
husul kaun sa chaak-e-jigar ke sine se

main aur kuchh nahin kahta magar ye sun rakhiye
adu ka dil hai labaalab hasad se kine se

KHuda ki shan hai ye baat aur munh un ka
'nizam' phir karun tauba sharab pine se